Sunday, July 31, 2011

Nayaab Ghazals and Shayari By Pankaj Udhas

 Nayaab Album Shayari and Ghazals Information



Dhundoge Humko Mulko Mulko Milenge Nahi Hum Nayaab Hain Hum...

1] Sab dekhe mukh chand ka, mein to dekhu tohe,
    Tumhi humare chand ho, mukh dekhe sukh hoye...
    (Song: Tu paas hain to dil ka ajab halsa lage...)

2] Saaf kab imthaan lete hain, woh to dum deke jaan lete hain,
    Zidd har ik baat mein nahi achi, dost ki dost maan lete hain...
   (Song: Aayiye barishon ka mausam hain...)

3] Beparda nazar ayee jo kal chand biwiyan,
    Akbar jami mein gayrate komi se gad gaya,
    Pucha jo maine aap ka parda woh kya hua,
    Kehne lagi ke akla pe mardon ke padh gaya...
   (Song: Niklo na benaqab....)

4] Uski mehfil mein jake dekh liya,
    Apna sab kuch luta ke dekh liya,
    Lakh samjaya par na samje ga,
    Dil ko phir ajma ke dekh liya...
    (Song: Pathar kahan gaya...)

5] Mudate gujri teri yaad bhi aayi na hume,
    Aur hum bhul gaye ho tujhe aiasa bhi nahi...
    (Song: Bhul jane ka hausala na hua...)

6] Mujhse badhkar jo jaanta hain mujhe,
    Hain kareeb aur ajnabi hain woh,
    Jo mere sher padh nahi sakta,
    Kya kahun meri shayari hain woh...
    (Song: Aaj wahi geeton ki rani...)

7] Mar mar ke musafir ne basaya hain tujhe,
    Rukh sab se phir ake muh dikhaya hain tujhe,
    Kyon kar na lipat ke soaun tujhse ye kabra,
    Zindagi deke maine paya hain tujhe...
    (Song: Zindagi ne maut se parda kiya...)

8] Teri nighan se aiasi sharab piye maine,
    Ke phir naa hosh ka dava kiya kabhi maine,
    Woh aur honge jinhe maut aa gayi hogi,
    Nigha yaar se payi hain zindagi maine...
    (Song: Ek taraf uska ghar ek taraf maikada...)

9] Sab chaman se gulab le ayee,
    Husnwale shabab le ayee,
    Sheikh sahab ne mang li janat,
    Hum wahan se sharab le ayee...
    (Song: Choom kar madh bhari ankhon se...)





No comments:

Post a Comment